aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga

labj girane na paaye honto se, waqt ke haat inako chun lenge
kaan rakhate hai yeh daro deewaar, raaj ki saari baat sun lenge
aur aahista kijiye baatein
aise bolo ke dil ka afsaana, dil sune aur nigaah dohraaye - (2)
apane chaaron taraf ki yeh duniya
saans ka shor bhi na sun paaye, na sun paaye
aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
labj girane na paaye honto se, waqt ke haat inako chun lenge
kaan rakhate hai yeh daro deewaar, raaj ki saari baat sun lenge
aur aahista kijiye baatein
aayiye band kar le darwaaje aa aa...
raat sapane chura na le jaaye aa aa....
aayiye band kar le darwaaje, raat sapane chura na le jaaye
koyi jhonka hawa ka aawaara
dil ki baaton ko uda na le jaaye, na le jaaye
aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
labj girane na paaye honto se, waqt ke haat inako chun lenge
kaan rakhate hai yeh daro deewaar, raaj ki saari baat sun lenge
aur aahista kijiye baatein
aaj itane kareeb aa jaao, duriyon ka kahin nishaan na rahein - (2)
aise ek dusare mein gum ho jaayein
faasala koyi darmiya na reh jaaye, na reh jaaye
aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
labj girane na paaye honto se, waqt ke haat inako chun lenge
kaan rakhate hai yeh daro deewaar, raaj ki saari baat sun lenge
aur aahista kijiye baatein
Monday, July 4, 2011
Pankaj udhas - Aur ahista kijiye baatiein
Subscribe to:
Posts (Atom)